nashat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai faza ke barg-e-shafaq par bhi tazgi kam hai sarab ban ke khalaon mein gum nazara-e-samt mujhe laga ki khalaon mein raushni kam hai ajib log hain kanton pe phul rakhte hain ye jaante hue in mein muqaddari kam hai na koi khwab na yaadon ka be-karan sa hujum udas raat ke kheme mein dilkashi kam hai main apne-ap mein bikhra hua hun muddat se agar main khud ko sametun to zindagi kam hai khuli chhaton pe dupatte hawa mein udte nahin tumhaare shahr mein kya aasman bhi kam hai purani soch ko samjhen to koi baat bane jadid fikr mein ehsas-e-naghmagi kam hai kahan se laoge ai 'rind' mo'tabar mazmun ghazal mein jabki riwayat ki chashni kam hai