le ke dil kahte ho ulfat kya hai husn walo ye shararat kya hai ek uchatti si taghaful ki nigah hila-e-arz-e-mohabbat kya hai khud hi nadim hun wafa par apni us tabassum ki zarurat kya hai mujh ko bohtan-e-hawas bhi manzur kaun samjhega haqiqat kya hai nikhat-o-nur ke sanson ka kaman warna tu kya meri surat kya hai qamat-e-yar ki bigdi hui shakl fitna-e-roz-e-qayamat kya hai kis ki himmat ki tujhe sath lagae tu ba-juz mauj-e-latafat kya hai rabt mahsus ki uljhan ke siwa aap ka jazba-e-nafrat kya hai ashk-e-gham bund hai pani ki magar ye bhi malum hai qimat kya hai daman-e-naz ki jhadi hui gard aur insan ki haqiqat kya hai main ki ek gauhar-e-aluda-e-khak kuchh na samjha meri qimat kya hai talib-e-dad-e-sukhan kyun ho 'nisar' aap ke sher mein jiddat kya hai