dil liya jaan li nahin jati aap ki dil-lagi nahin jati sab ne ghurbat mein mujh ko chhod diya ek meri bekasi nahin jati kiye kah dun ki ghair se miliye an-kahi to kahi nahin jati khud kahani firaq ki chhedi khud kaha bas suni nahin jati khushk dikhlati hai zaban talwar kyun mera khun pi nahin jati lakhon arman dene walon se ek taskin di nahin jati jaan jati hai meri jaane do baat to aap ki nahin jati tum kahoge jo roun furqat mein ki musibat sahi nahin jati us ke hote khudi se pak hun main khub hai be-khudi nahin jati pi thi 'bedam' azal mein kaisi sharab aaj tak be-khudi nahin jati