le ke dil mehr se phir rasm-e-jafa-kari kya tum dil-aram ho karte ho dil-azari kya tum se jo ho so karo hum nahin hone ke khafa kuchh hamein aur se karni hai nai yari kya jun hubab aae hain milne ko na ho chin-ba-jabin hum se ek dam ke liye karte ho be-zari kya tegh-e-abru ki to ulfat ne kiya dil ko do-nim dekhen ab karti hai kakul ki giraftari kya phir sinan mizzha-e-dil par wo uthata hai 'nazir' zakhm-e-shamshir-e-nigah aah nahin kari kya