tere suraj ko teri sham se pahchante hain zindagi hum tujhe anjam se pahchante hain kis qadar dhup kamata hai yahan koi ise raunaq-e-mashghala-e-sham se pahchante hain ishq wale to uthate hi nahin apni nigah husn ko husn ke ahkaam se pahchante hain khas andaz se khat likhta hai wo parda-nashin hum use nudrat-e-paigham se pahchante hain kaun karta hai pas-e-parda-e-aina kalam aks ko hairat-e-ilham se pahchante hain sakht taklif uthai hai use jaanne mein is liye ab use aaram se pahchante hain sach phate haal sa phirta hai gali-kuchon mein sach ko aksar isi anjam se pahchante hain main ne tardid to bheji thi pa shae na hui ahl-e-shahr ab mujhe ilzam se pahchante hain kaise naqqad hain ye itni badi shairi ko bas riayat se iham se pahchante hain 'farhat-ehsas' kabhi ghar se nikalta hi nahin shahr wale use bas nam se pahchante hain