le liya allah se maine kabhi bhagwan se

le liya allah se main ne kabhi bhagwan se
kaam kitne hi nikale jaan aur pahchan se

dekhna un khane walon ko na aaega maza
kal ki jaane wali murghi aaj jae jaan se

har kas-o-na-kas ki sun kar an-suni karta hun main
baat begam ki suna karta hun pure dhyan se

hum kisi neta ke dum-chhalle nahin ban kar rahe
zindagi hum ne guzari hai bahut hi shan se

mar kar chaturai se charba kiya aur padh diya
sher kitne hi uda kar 'mir' ke diwan se

bas chale mata-pita hi zahr de kar mar den
sab pareshan-haal hain badhti hui santan se

chae pite hain to fauran badh ke le lete hain pan
dab ke hum rahte nahin kam-zarf ke ehsan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close