bahut bigDa hua hai dosto ghar ka nizam apna

bahut bigda hua hai dosto ghar ka nizam apna
ye bas upar hi upar dekh lo sab tim tam apna

nahin deta na de ai saqi-e-mahfil tu jam apna
yahan bidi ke adhdhon se bhi chal jata hai kaam apna

nikalwaya mujhe mahfil se dhakke de ke zalim ne
nazar aaya hai barson baad ye aali maqam apna

khuda ke waste logo bacha lo apne bhaarat ko
hamare desh-bhakton se kaho samjhen maqam apna

abhi kadki mein hain ahbab katra kar nikalte hain
jo din palte to phir sab hi karenge ehtiram apna

tawazo karte karte ek din wo khud-kushi kar le
kisi ke ghar pe itne din na farmao qiyam apna

na chae aai na pan aae na wo aae yahan 'dilkash'
yahi aadab-e-mahfil hain to mahfil ko salam apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close