le ude khak bhi sahra ke parastar meri rah takte hi rahe shahr ke bazar meri tez aandhi ne kiye mujh pe bala ke hamle phir bhi qaem rahi mitti ki ye diwar meri chhup gaya tha mere jangal mein koi saya sa aaj tak us ke taaqub mein hai talwar meri gunj ubhregi meri ruh ke sannaton se salb ho jaegi jab taqat-e-guftar meri tutti jati hain sanson ki shikasta kadiyan phailti jati hai sahraon mein jhankar meri kitna be-kaif tamasha-e-bahaaran nikla jab khizan ban ke bujhi khwahish-e-izhaar meri ham-safar chand na suraj na sitare nikle tez hai gardish-e-dauran se bhi raftar meri aatish-o-ab-o-hawa khak-o-khala-o-aflak kitne qilon pe ba-yak-waqt hai yalghaar meri gham zamane mein koi jins to 'siddiq' nahin kya kharidenge koi chiz kharidar meri