tum ghalat samjhe hamein aur pareshani hai ye to aasani hai jo be-sar-o-samani hai khwahish-e-did sar-e-wasl jo nikli nahin thi lamha-e-hijr mein tajrid ki uryani hai kyun bhala bojh uthaun main tere khwabon ka mere aaine mein kya kam koi hairani hai ek muddat se jo baithi hai meri palkon par khana-e-dil mein wo surat abhi anjaani hai dub jata hai sar-e-sham hamara dil bhi ye bhi suraj ki tarah raat ka zindani hai khud ko hum bech ke ek khwab to le pae nahin tere bazar mein kis chiz ki arzani hai kis bharose pe main takraun hawa se 'sajjad' gar bikharta hun to atraf mein sab pani hai