libas-e-chaak mein aiwan ke aage nahin jati farasat yun hi har sultan ke aage nahin jati main tai karta hun rabt-o-zabt ki sab manzilen phir bhi rifaqat jaan aur pahchan ke aage nahin jati rihaish to sabhi ki hai isi bazar mein lekin nazar hi ab meri saman ke aage nahin jati junun mein regzaron ka irada kar raha hun main sawari koi nakhlistan ke aage nahin jati ye kis viran hujre ko basana chahta hun main koi parchhain bhi dalan ke aage nahin jati sunai de bhi kya tum ko ki jis ko zat kahte ho sada meri usi maidan ke aage nahin jati bayan-e-harf ko mein tul deta hun magar 'rahat' kahani shauq ki wijdan ke aage nahin jati