sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha

sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha
hamare chaaron taraf khauf ka hisar na tha

tamam umr khizan mein jhulaste guzri hai
hamare sar pe kabhi saya-e-bahaar na tha

raha hamesha kisi aur ke tasarruf mein
khud apne dil pe kabhi apna ikhtiyar na tha

har ek hath uthae hue tha yun patthar
ki jaise shahr mein koi gunahgar na tha

amir-e-shahr ke chehre ke dagh-dhabbe the
fasil-e-shahr pe chaspan wo ishtihaar na tha

hazar daftar-e-mani khangal dale 'naz'
magar kahin bhi koi harf-e-e'tibar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close