libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho saji sajai hui jaise koi dulhan ho ye qaht-e-sher pada ho na qaht-e-gham ke sabab charagh itna hi jalta hai jitna indhan ho ye main hi hun jo udasi nikalta hun teri har ek fasil mein lazim nahin ki rauzan ho tu apne khwab meri aankh se na dekha kar baratne ke liye behtar hai apna bartan ho ajib jaldi thi bachpan mein kab bade honge bade hue hain to ji chahta hai bachpan ho kadi jo tuti to sabit nahin rahi zanjir aham hai wo bhale chhota sa koi bandhan ho