mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho jala hai kaise ye aabaad sa makan dekho na chat jae kadi dhup surkhiyan lab ki shajar ki chhanw kisi ghar ka saeban dekho mohabbaton ki tasalli bahut zaruri hai sitam ke shahr mein ek yar-e-mehrban dekho koi bharosa nahin abr ke barasne ka badhegi pyas ki shiddat na aasman dekho tumhaara waqt nahin sach ke bolne walo na chup rahoge to kat jaegi zaban dekho koi hasin abhi raste se guzra hai lagao aankh se qadmon ke jo nishan dekho hunar to roz hi bikta hai chand sikkon mein kharid le na zamana tumhein aman dekho nahin hai tum mein saliqa jo ghar banane ka to 'ashk' jao parindon ke aashiyan dekho