libas gard ka aur jism nur ka nikla tamam wahm hi apne shuur ka nikla jo apne aap se badh kar hamara apna tha use qarib se dekha to dur ka nikla badan ke par utarte hi khul gain aankhen suragh tere sarapa se tur ka nikla sabhi nishaniyan us shakhs par khari utrin jo bhul kar bhi kabhi zikr hur ka nikla uthe jo hath meri sangsariyon ke liye har ek dast-e-inayat huzur ka nikla na-jaane bhul gaya kaun kab kahan likh kar mita sa naqsh main bainassutur ka nikla jo dana dana fana fasl-e-arzu ka hua tamam fitna malakh aur mor ka nikla giraft-e-fan se na aazad ho saka 'shadab' khayal-e-taza karishma bahur ka nikla