lihaz karte adab ehtiram karte hue guzar raha hun mohabbat ko aam karte hue ye raat aa ke mujhe phir se jod deti hai main tut jata hun din ikhtitam karte hue baghair zad-e-safar hum pahunch gae manzil bhatakte girte sambhalte qayam karte hue kisi ka koi bhi kirdar rah na jae kahin khayal rakhna kahani tamam karte hue mera zamir malamat kare hai yun mujh par mujhe jo dekhe hai tujh ko salam karte hue ye mere pusta-e-jaan mein shigaf the lekin kisi ne dekha nahin rok tham karte hue wo baat baat pe naraaz hone lagta hai so khauf aata hai us se kalam karte hue koi mazaq nahin umr bhar ki mehnat ko kaleja chahiye ghairon ke nam karte hue