subh bhi hoti rahi mahtab bhi dhalta raha zindagi ka karwan chalta raha chalta raha saneha kya us pe guzra kaun uth kar dekhta ahl-e-khana so gae lekin diya jalta raha mere khwabon ki koi buniyaad bhi thi kya kahun barf ka parbat tha ek galta raha galta raha aakhiri waqt aa gaya to sochta hun dosto aaj ka jo masala tha kal pe kyun talta raha samne ke dushmanon se bach ke rahna sahal tha aastin ka sanp tha badhta raha palta raha hadse ki wo kahani mukhtasar si hai 'shakil' bansuri bhi baj rahi thi shahr bhi jalta raha