likh diya apne dar pe kisi ne is jagah pyar karna mana hai

likh diya apne dar pe kisi ne is jagah pyar karna mana hai
pyar agar ho bhi jae kisi ko us ka izhaar karna mana hai

un ki mahfil mein jab koi jae pahle nazren wo apni jhukae
wo sanam jo khuda ban gae hain un ka didar karna mana hai

jag utthe to aahen bharenge husn walon ko ruswa karenge
so gae hain jo furqat ke mare un ko bedar karna mana hai

hum ne ki arz ai banda-parwar kyun sitam dha rahe ho yun hum par
baat sun kar hamari wo bole hum se takrar karna mana hai

samne jo khula hai jharoka kha na jaana 'qatil' un ka dhoka
ab bhi apne liye us gali mein shauq-e-didar karna mana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close