aaj gulshan mein ye afwah uDa di jae

aaj gulshan mein ye afwah uda di jae
zindagi ki sabhi khushiyon ko hawa di jae

baada-e-uns yun taqsim gira di jae
koi baqi na rahe sab ko pila di jae

parcham ab zulm ka lahraate hain har su zalim
aap batlaiye kis-kis ko saza di jae

log jebon mein chhupe sanp liye phirte hain
qarya-qarya ye khabar sab ko suna di jae

jhukne pae na kabhi amn-o-aman ka parcham
uttho nafrat ki ye diwar gira di jae

hind mera hi nahin sab ka hi pyara hai watan
dil mein har ek ke ye baat bitha di jae

lafz aasan 'niyazi' hain teri ghazlon mein
in mein ab 'mir' ki taswir laga di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close