likha dekha bahut maine kitabon mein fasanon mein

likha dekha bahut main ne kitabon mein fasanon mein
tu shahin hai basera kar pahadon ki chatanon mein

mohabbat thi mujhe us se ibaadat kar nahin paya
pada hun ham-kalami ki umang mein aastanon mein

main apni baat karne ke kahan qabil raha logo
kahin kuchh bhi nahin aaya kahin hun raaz-danon mein

main us ke pas jata hun bahut nazdik lekin chup
jahan sab mang lun us se magar hun be-zabanon mein

use fursat hi fursat hai mujhe milti nahin saat
wo data hai wo de dega magar main na-muradon mein

mujhe hilna nahin aaya mujhe chalna hi kab aaya
mere par bhi nahin mere wahi hai in udanon mein

tumhaari baat hai yakta tumhaare rang anokhe hain
anokhe rangon mein rang ke 'siyah' hai aasmanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close