likha jo ashk se tahrir mein nahin aaya wo dard lafz ki tafsir mein nahin aaya abhi kuchh aur jakad dushmani ki bandish mein lahu ka zaiqa zanjir mein nahin aaya ho dard halka to jhuti khushi bhi mil jae ek aisa lamha bhi taqdir mein nahin aaya kisi ke hijr ne muflis bana diya shayad palat ke apni wo jagir mein nahin aaya wo meri aankhon pe qabiz raha 'siya' lekin kisi bhi khwab ki tabir mein nahin aaya