tafakkuraat-e-zamana se ho ke begane ye kis khayal mein uljhe hue hain diwane har ek hansta hai lekin ye koi kya jaane ye ban gae ki banae gae hain diwane nigah-e-ishq mein shah-o-gada barabar hain nigah-e-ishq koi imtiyaz kya jaane kisi ke uthne se suni na hogi bazm koi bahaar-e-shama salamat hazar parwane wahi jahan ke nasheb-o-faraaz ko samjhe chale jo rah-e-mohabbat ki thokaren khane yahan khushi to nahin hai magar pae taskin ghamon ka nam khushi rakh liya hai duniya ne ye jaanta hun ki tai kar raha hun rah-e-hayat kahan pe hai meri manzil use khuda jaane fana hai sab ko in aabaadiyon pe naz na kar zaban-e-haal se ye kah rahe hain parwane jo apne hath se koi pila de ai 'shaarib' us ek jam pe sadqe hazar paimane