likhi thi jo kahani wo kahani yaad aati hai tumhaare pyar ki mujh ko nishani yaad aati hai bahaaron ka saman sa hai bhare gulshan mein dekho to gulabon ki wo rut aksar suhani yaad aati hai kahi hai jo ghazal main ne usi ke nam kar di hai hamein ab us ke lahje ki rawani yaad aati hai kahan se laun khun-e-dil tumhein ab yaad karne ko main jab sochun to is dil mein purani yaad aati hai 'nasim' 'akhtar' kahan hain ab wo jazbon se bhari raaten hamein ab apne ashkon ki rawani yaad aati he