likhna hai sar-guzasht qalam naz se utha har nuqta-e-hayat ko aaghaz se utha har ma-siwa ke khauf ko jis ne mita diya nara wo la-tazar ka mere saz se utha jo bhi bharam tha chand-sitaron ka khul gaya parda kuchh aisa jurat-e-parwaz se utha wo shor jis se azmat-e-shahi laraz gai tabrez-o-qum se mashhad-o-shiraaz se utha afsurda anjuman hai fasurda hain ahl-e-dil ye kaun aaj jalwa-gah-e-naz se utha ye naunihaal-e-bagh-e-tamanna ke phul hain aaghosh-e-dil mein in ko zara naz se utha mar jaunga to log kahenge yahi 'jamil' ek mard-e-haq ki lash hai eazaz se utha