mere dukh dard har ek aankh se ojhal paDe the

mere dukh dard har ek aankh se ojhal pade the
shukr-sad-shukr ki bas ruh pe hi bal pade the

kisi maqsad se tere pas nahin aae hain
kahin jaana hi tha so teri taraf chal pade the

ek main hi nahin shab chhat pe basar karta tha
chand ke pichhe kai aur bhi pagal pade the

kaisa nazzara tha kohsaron ki shahzadi ka
baam par wo khadi thi farsh pe baadal pade the

jald-bazon ne bichhadne mein badi ujlat ki
ek ek masale ke warna kai hal pade the

khud se khud tak ka safar sahl nahin tha itna
raste mein kai dariya kai jangal pade the

ijz ke ashk bahate hue shab so gaya main
subh uttha to mere kaam mukammal pade the

dhyan tayyari ka aaya hi nahin hum ko 'aqil'
safar-e-ishq tha be-rakht-e-safar chal pade the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close