likkhenge na is haar ke asbab kahan tak rakkhenge mera dil mere ahbab kahan tak girti hui diwar ke sae mein pada hun shal honge na aakhir mere aasab kahan tak hasrat hai ki tabir ke sahil pe bhi utrun dekhunga yunhi roz nae khwab kahan tak aawaz se aari hain jo tuti hui taren kaam aaegi is haal mein mizrab kahan tak wo abr ka tukda hai magar dekhna ye hai hoti hain nigahen meri sairab kahan tak kuchh dur kinare ke manazir to hain lekin jaega ye dariya yunhi payab kahan tak darta hun kahin zabt ka pal bit na jae shoalon ko chhupaunga tah-e-ab kahan tak