lillahil-hamd ki dil shola-fishan hai ab tak pir hai jism magar taba jawan hai ab tak barf-bari hai mah o sal ki sar par lekin khun mein garmi-e-pahlu-e-butan hai ab tak sar pe har chand mah o sal ka ghaltan hai ghubar fikr mein tab-o-tab-e-kahkashan hai ab tak kab se nabzon mein wo jhankar nahin hai phir bhi sher mein zamzama-e-ab-e-rawan hai ab tak lillahil-hamd ki darbar-e-kharabaat ki khak surma-e-dida-e-sahib-nazran hai ab tak zindagi kab se hai kanton ki tijarat se figar phir bhi takhil mein phulon ki dukan hai ab tak farq par waqt ka pathrao hai kab se jari zehn mein kargah-e-shishagaran hai ab tak kis se kahiye ki ba-in fikr mera tar-e-wajud zakhma-e-ghaib se larzan o tapan hai ab tak kab se hun munkir-e-gulbang-e-malaek phir bhi dil pe jibril ki dastak ka guman hai ab tak kab se hun basta-e-naqus-o-mazamir-e-butan phir bhi sine mein koi garm-azan hai ab tak sakht hairan hun ki is kufr ke jangal mein bhi 'josh' chashm-e-yazdan meri jaanib nigran hai ab tak