liya hai ishq ne kya intikhab kar ke mujhe chuna jo bazm mein jam-e-sharab kar ke mujhe khata-o-jurm pe mujh ko bahut nadamat thi diya jo khuld mein ja be-hisab kar ke mujhe tumhaare naqsh-e-qadam se ye aa rahi hai sada qadam ne chhod diya ham-rikab kar ke mujhe khata nahin hai meri ai sanam main kya karta bithaya dasht mein dil ne azab kar ke mujhe ye khak-e-ashiq-e-ghamgin se aa rahi hai sada qaza chali gai masruf-e-khwab kar ke mujhe khuda ki shan to dekho ki un ke gulshan mein nasim le gai bu-e-gulab kar ke mujhe banaya sajda-gah-e-ins-o-jinn dila ne mere 'jamila' sang-e-dar-e-bu-turab kar ke mujhe