liya jo us ki nigahon ne jaeza mera to tut tut gaya khud se rabta mera samaaton mein ye kaisi mithas ghulti rahi tamam umr raha talkh zaiqa mera chatakh gaya hun main apne hi hath se gir kar mere hi aks ne toda hai aaina mera kiya gaya tha kabhi mujh ko sangsar jahan wahin lagaya gaya hai mujassama mera jabhi to umr se apni ziyaada lagta hun bada hai mujh se kai sal tajraba mera adawaton ne mujhe e'timad bakhsha hai mohabbaton ne to kata hai rasta mera main apne ghar mein hun ghar se gae huon ki tarah mere hi samne hota hai tazkira mera main lut gaya hun 'muzaffar' hayat ke hathon sunegi kis ki adalat muqaddama mera