kya ishq hai jab ho jaega tab baat samajh mein aaegi jab zehn ko dil samjhaega tab baat samajh mein aaegi pal mein khush pal mein ranjida aae na samajh mein baat hai kya dil khil khil kar murjhaega tab baat samajh mein aaegi gum-sum rahne ka kya hai sabab hansta hai akele mein koi kab jab koi dil ko churaega tab baat samajh mein aaegi main auron ko samjhata tha ai ishq mujhe malum na tha jab kuchh na samajh mein aaega tab baat samajh mein aaegi kya aafat dil ka aana hai be-sud abhi samjhana hai dil tadpega tadpaega tab baat samajh mein aaegi chhup-chhup kar dil kyon rota hai kya aalam-e-wahshat hota hai rah-rah kar ji ghabraega tab baat samajh mein aaegi kya shai hai mohabbat ki khushbu aata hai nazar koi kyon har su aankhon mein koi bas jaega tab baat samajh mein aaegi 'raghib' mat puchh hai raghbat kya izhaar mohabbat kya hai bala ek lafz na munh tak aaega tab baat samajh mein aaegi