liye aadam ne apne bete panch judi hoti hai haule haule aanch qaid-e-mazhab se mujh ko kya matlab main nahin jaanta hun tin aur panch kis dahan ne ye us ko tang kiya tifl-e-ghuncha ki jo nikal gai kanch aadmi hai wahi jo duniya mein jhut ko jhut jaane sanch ko sanch ustukhan-bandi-e-tan-e-majnun apni nazron mein hai patang ka dhanch ram-e-majnun nahin hui laila misl-e-ahu birah bhare hai kalanch go padhin tu ne sau kitab to kya 'mushafi' ek khat-e-jabin ko tu banch