nigah ke samne us ka junhi jamal hua wo dil hi jaane hai us dam jo dil ka haal hua agar kahun main ki chamka wo barq ki manind to kab masal hai ye us ki jo be-misal hua qarar o hosh ka jaana to kis shumar mein hai gharaz phir aap mein aana mujhe muhaal hua idhar se bhar diya mai ne nigah ka saghar udhar se zulf ka halqa gale ka jal hua bahaar-e-husn wo aae nazar jo us ki 'nazir' to dil wahin chaman-e-ishq mein nihaal hua