lo aa gaya hai koh-e-nida kan na dharo ek shor har taraf hai bapa kan na dharo chhup jao in paron mein masafat samet lo masmum ho gai hai faza kan na dharo hum bolne ke kaam par mamur hain magar kuchh zahr bhi hai is mein bhara kan na dharo har dil mein be-qarar si ek lahr maujzan har lab pe hai kisi ka gila kan na dharo lab harf-e-iztirab ka parda na rakh sake samjho ki main ne kuchh na kaha kan na dharo chhin jae na kahin ye sada jagte raho raste mein aae koh-e-nida kan na dharo harf-e-wafa ki chhanw mein thahro na din dhale koi kisi ka kab hai sada kan na dharo