lo na hans hans ke tum aghyar se gul-daston se itni zid bhi na rakho apne jigar-khaston se fundaqen bazm mein dekh us ke sar-angushton se rishta-e-rabt ne li rah kaf-e-daston se ru-ba-ru howe jo chashman-e-butan se ai dil darte rahna hi munasib hai siyah-maston se dast-e-sayyaad se chhute to uchhal pai-dar-pai warna kya faeda ai aahu-e-dil aston se pesh jati nahin hargiz koi tadbir 'nazir' kaam jab aan ke padta hai zabardaston se