tujhe khabar ho to bol ai mere sitara-e-shab meri samajh mein to aata nahin ishaara-e-shab use main ek musalsal charagh kar deta meri giraft mein hota jo istiara-e-shab main ek charagh kahan tak muzahimat karta mere khilaf tha kitna bada idara-s-shab bahut se chand bahut se charagh kam nikle banane baitha jo main raat goshwara-e-shab kisi bhi subh ka marham asar nahin karta ki har sahar hai yahan dusra kinara-e-shab