log baithe hain yahan hathon mein khanjar le kar tum kahan aa gae ye shakh-e-gul-e-tar le kar bhige bhige se mere ghar ke dar-o-baam mile shayad aaya tha yahan koi samundar le kar ab mujhe aur kisi shai ki tamanna na rahi mutmain hun teri dahliz ka patthar le kar meri qismat mein sulagne ke siwa kuchh bhi nahin kya karoge bhala tum mera muqaddar le kar khushk honton ne mere jism ka ras chus liya ab koi aae to kya faeda saghar le kar sidhe raste koi aata hi nahin meri taraf gardish-e-waqt bhi aati hai to chakkar le kar apne dil ko na kare ab koi halka 'azar' warna main jaunga ek bojh sa dil par le kar