tera ehsas-e-khudi hoga na jab tak bedar ghair mumkin hai khulen tujh pe azal ke asrar khud mashiyyat teri ek ek ada par ho nisar apni surat ka mayassar jo tujhe ho didar kitne jalwe tujhe labbaik kahenge nadan chir kar dekh zara sina-e-hasti ek bar apni quwwat se tu waqif hi nahin hai warna arsh se bhi kahin uncha hai tera izz-o-waqar maut sab jis ko samajhte hain zamane wale tere pairahan-e-hasti ka hai dhundla sa ghubar sab tere zer-e-nagin hain falak-o-mah-o-nujum teri gardish pe hai har ek ki gardish ka madar phunk de khar-o-khas-e-alam-e-zahir pahle khud nazar aaega har shai mein rukh-e-pur-anwar husn-e-sad-rang se wo kaif-e-nazar hasil kar jis se ho jaen dil-o-ruh abad tak sarshaar ek rawish bhi na guzargah-e-khizan ho jis ki tujh se mumkin ho to paida kar ek aisi bhi bahaar sar-e-amwaj-e-hawadis ko samajhne wale kar-e-asan ko bana lete hain kar-e-dushwar lakh saman hon ishrat ke muhayya lekin dil si shai ke liye duniya mein sukun hai na qarar zindagi bhar jinhen kahti rahi duniya kafir ab zamane mein kahan 'arzu' aise din-dar