log gham se Darte hain main KHushi se Darta hun

log gham se darte hain main khushi se darta hun
tirgi se kya darna raushni se darta hun

main nikal pada ghar se ab safar mein jo bite
aage chalte rahna hai wapsi se darta hun

ye bhi jaanwar sare wo bhi jaanwar sare
jaane kaisi basti hai aadmi se darta hun

rahzan-e-khulus-e-jaan rahzan-e-masarrat hai
rahnumai-e-ilm-o-agahi se darta hun

sar utha ke jine ki lazzaton se waqif hun
sar utha ke jine ki be-hisi se darta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close