log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain mai-kada zarf ke mear ka paimana hai khali shishon ki tarah log uchhalte kyun hain mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye aur sab log yahin aa ke phisalte kyun hain nind se mera talluq hi nahin barson se khwab aa aa ke meri chhat pe tahalte kyun hain main na jugnu hun diya hun na koi tara hun raushni wale mere nam se jalte kyun hain