log jo dil-figar hote hain chalte phirte mazar hote hain jo mohabbat mein khar hote hain sahab-e-sad-waqar hote hain jin ke daman mein khar hote hain qadr-dan-e-bahaar hote hain jo mohabbat-shiar hote hain sazishon ka shikar hote hain meri barbaadi-e-mohabbat par aap kyon sharmsar hote hain un ke qaul-o-qarar kya kahiye sirf qaul-o-qarar hote hain apna matlab nikalne wale kis qadar hoshiyar hote hain pur-khuluson ki puchhte kya ho khar hote the khar hote hain kya khabar thi ki rah-e-ulfat mein har qadam kharzar hote hain kis tawaqqo pe log ai 'asi' zindagi par nisar hote hain