khud mein khilte hue manzar se numudar hua wo jazira jo samundar se numudar hua meri tanhai ne paida kiye sae ghar mein koi diwar koi dar se numudar hua chaaron atraf mere aaine rakkhe gae the main hi main apne barabar se numudar hua aaj ki raat guzari hai diye ne mujh mein aaj ka din mere andar se numudar hua kya ajab naqsh hai wo naqsh jo is duniya ke kahin andar kahin bahar se numudar hua ek shoale ki lapak nur mein dhal kar aai ek kirdar bahattar se numudar hua haq ki pahchan hui khalq ko 'azar' us waqt jab ali aap ke bistar se numudar hua