log kahen diwana tujhko tu samjhe tu dana hai

log kahen diwana tujh ko tu samjhe tu dana hai
ya to 'sada' tu pagal hai ya duniya pagal-khana hai

khud chahe samjhen na samjhen auron ko samjhana hai
bant raha hai gyan jagat ko khud se jo an-jaana hai

mandir masjid donon mein se kuchh bhi chunna mushkil tha
shukr khuda ka mai-khwaron ne dhundh liya mai-khana hai

jag hai maya-jal piyare kah gae pir faqir guru
ye dhoka par bari bari har bande ko khana hai

kis ko kosen kis ko roen har jug mein hai hua yahi
sach ko suli jhut ko jhumar ye dastur purana hai

court kachahri mein kya hoga kaun likhega rapat yahan
jis ne qatl karaya us ka hakim se yarana hai

sab ko yahan insaf milega ek din duniya sudhregi
soch-soch kar aisa hi bas hum ko ji bahlana hai

shor machane se logon ki badlegi kya rae 'sada'
aaj talak kisi pagal ne kya khud ko pagal mana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close