log kahte hain ki qatil ko masiha kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujala kahiye chehre padhna to sabhi sikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraya kahiye jaane pahchane hue chehre nazar aate hain waqt qatil hai yahan kis ko masiha kahiye aap jis ped ke sae mein khade hain is ko sehn-e-gulshan nahin jalta hua sahra kahiye sab ke chehron pe hain akhlaq-o-murawwat ke naqab kis ko apna yahan aur kis ko paraya kahiye shab ke mathe pe koi saya numudar hua us ko ab pyar ke aangan ka sawera kahiye zahr-e-tanhai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayal' kis tarah maut ko jine ka sahaara kahiye