log nafrat ki jab is aag se jal jaenge mujh ko ummid hai haalat badal jaenge jo the maujud meri jeb mein khote sikke main samajhta tha ki bazar mein chal jaenge chhod sakte hain mujhe race mein pichhe lekin log kya waqt se aage bhi nikal jaenge apne ashkon se bhigo denge phir us ki buniyaad dekhne hum jo kabhi taj-mahal jaenge ai meri maut mujhe sote samay mat aana tere pairon se mere khwab kuchal jaenge mere bete tu khilaune ke liye zid mat kar aaj rahne de bahut dhup hai kal jaenge mujh se ab aap ki tarif na ho paegi aap kam-zarf hain shohrat se uchhal jaenge gungunaengi jise padh ke kai naslen teri hum teri mez pe rakh kar wo ghazal jaenge