wo sab se aage andhere mein jo charagh thame khada hua hai siyah raaton mein gum-shuda manzilon ko rasta dikha raha hai jhulaste mausam mein munharif hai parae pedon ki chhaon tak se ana ka rutba badhaya us ne wo apni sharton pe ji raha hai hawa ki marzi diya bujhae ya khushbuon ko rihai de de kahin pe diwar hai ye goya kahin kahin par ye rasta hai tu jaanta hai teri nazar se har ek manzar ko dekhti hun tujhe pata hai ki teri aankhon ka rang bilkul meri tarah hai badalti rut mein badal gaya hai hamari nazron ka zawiya bhi udas patton pe rup aaya khizan ka chehra damak raha hai guzar chuka hai wo is sadak se badi khamoshi ke sath ab ke ye koi dastak nahin hai dar par hawa ki sazish hai wahima hai ye teri nisbat ka faiz hai jo tale hue hain 'azab sare ye meri duniya mein ab talak jo bhi khair hai wo teri du'a hai