log paband-e-salasil hain magar khamosh hain be-hisi chhai hai aisi ghar ke ghar khamosh hain dekhte hain ek-duje ko tamashe ki tarah un pe karti hi nahin aahen asar khamosh hain hum harif-e-jaan ko is se badh ke de dete jawab koi to hikmat hai is mein hum agar khamosh hain apne hi ghar mein nahin milti aman to kya karen phir rahe hain muddaton se dar-ba-dar khamosh hain tutne se bach bhi sakte the yahan sab aaine jaane kyun is shahr ke aaina gar khamosh hain pesh-khema hai 'shanawar' ye kisi tufan ka sab parinde ud gae hain aur shajar khamosh hain