andhere lakh chha jaen ujala kam nahin hota charagh-e-arzu jal kar kabhi maddham nahin hota masiha wo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hota ye zakhm-e-ishq hai is zakhm ka marham nahin hota gham-e-jaanan ko jaan-e-jaan bana le dekh diwane gham-e-jaanan se badh kar aur koi gham nahin hota talab ban kar meri har dam wo mere sath rahte hain kabhi tanha meri tanhai ka aalam nahin hota tumhaara aastana chhod kar aakhir kahan jaun diya hai dard-e-dil tum ne wo dil se kam nahin hota mera tan-man jala kar tu ne zalim khak kar dala magar ai soz-e-ulfat tera shoala kam nahin hota tere dar se mujhe itni mohabbat ho gai jaanan tere dar ke alawa sar kahin bhi kham nahin hota badalti hi nahin qismat mohabbat karne walon ki tasawwur yar ka jab tak 'fana' paiham nahin hota samajh lije ki jazb-e-dil mein hai koi kami baqi agar didar un ka ishq mein har dam nahin hota