log patthar ke the fariyaad kahan tak karte dil ke virane hum aabaad kahan tak karte aakhirash kar liya mitti ke haram mein qayam khud ko hum khanaman-barbaad kahan tak karte ek zindan-e-mohabbat mein hue hum bhi asir khud ko har qaid se aazad kahan tak karte khud pe mauquf kiya us ka faqat dars-e-visal har nae dars ko hum yaad kahan tak karte kar liya ek bayaban ko musakhkhar hum ne roz taswir ko ijad kahan tak karte log khamosh the isbaat o nafi ke mabain aise mahaul mein irshad kahan tak karte har wajud apne liye ek sawali tha 'taraaz' khud ko hum mail-e-abaad kahan tak karte