samundar mein khade ho ro rahe ho ye kaisi maili chadar dho rahe ho ye duniya masala allah ka hai ye mitti sar pe tum kyun dho rahe ho hamare aansuon ke jugnuon se sitaro kyun pareshan ho rahe ho samundar ko dikha kar aag ab kyun dua ki barishon ko ro rahe ho jahan purkhon ke sajdon ke nishan hain wo galiyan khun se kyun dho rahe ho suna hoga hamara hadsa bhi hamare shahr mein tum to rahe ho nahin gar jaan-e-jaan to dushman-e-jaan hamari jaan ke kuchh to rahe ho tumhein to khub hansna chahiye 'ashk' hamare haal par tum ro rahe ho