log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi ab to mashkuk hui apni milan-sari bhi war kuchh khali gae mere to phir aa hi gai apne dushman ko dua dene ki hushyari bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe waqt kam ho to saja deti hai bimari bhi kis tarah aae hain is pahli mulaqat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyari bhi ub jata hun zehanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahja mujhe bazari bhi umr badhti hai magar hum wahin thahre hue hain thokaren khain to kuchh aae samajhdari bhi ab jo kirdar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhawa bhi hai sar bhaari bhi