jo insan baryab-e-parda-e-asrar ho jae

jo insan baryab-e-parda-e-asrar ho jae
to is baatil-kade mein zindagi dushwar ho jae

ye duniya-e-wafa duniya-e-be-azar ho jae
mujhi par kyun na takmil-e-jafa-e-yar ho jae

jo zulmat mein bhi tanwir-e-haqiqat dekhna chahe
wo meri tarah pichhli raat se bedar ho jae

ghurur-e-husn bhi mere liye juzw-e-ada daere
mera ehsas bhi tere liye pindar ho jae

gham-e-pinhan se dam ghutta hai ai 'simab' kya kahiye
khuda aisa kare ye qabil-e-izhaar ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close